Blog banany ka tarika

Blog kesy banain

(Easy way)


Aj blog banane ka tareeka seekhengy english men to buhot sary aartical hain blog banane k lekan ek aam aadmi ko un ko samajhna buhot mushkil hai us liye men ye post urdu men bana raha hon ta k ek aadmi bhi aasani sy samajh sake,


Wesy to blog banany k liye ap ko buhot sari websites mil jaingi lekan ( Blogger.com ) google ki free service hai,

 Blogger.com aisa platform hai jis per ap apna khud ka free of cost blog bana sakte hain, agar apko free of cost blog banana hai to blogger se acha platform apko nhi milega.


 blogger me ap sub se phale apna blog banate hain phir us me post kar sakte hain, ap apni malomat share kar sakte hain, content likh sakte hain iske illawa or bahut kuch ap blogger me without any cost kar sakte hain.


Blogger se ap earning bhi kar sakte hain google adsence me account bana ke kafi blogger hain jo ghar bethe achi earning kar rae hain, blogger se earning karne ke liye apko blogger ki achi malomat honi chaye,

 apka blog professional design hona chaye, blog me traffic (views) zyadha hone chaye.




(1) ap sab sy pahle blogger.com par cilick karen ek page open hoga 

 Create Your Blog pe Click kare, Iske baad apko apne gmail ke account se sign in karna hai jis account se ap blog create karna chahte hain us account se sign in kare. 

Agar apka Gmail account nhi bana wa too sub se pahle ap apna gmail ka account bana lain.

(2) Sign in karne ke baad apke samne ek new page open hoga Jis main apko "New Blog" ke Option per Click karna hai.

Ab ap k samny ek aur pege aiga,


(3) yahan par apny blog ka unwan yani k esa naam likhen jo ap k blog ki pahechan ho jis sy log usy google par search kar saken,

Misal k tor par jesy mera blog hai( easy life style) to ap esa he koi achha naam soch kar likhoge.

Us k bad ap nichy ki tara dekhogy to agy ka butan hoga us par cilck karoge,


(4) to new windo open hoga us khane men ap apny blog ka url likhoge,

Jese ham gmail banate waqat @gmail.com k aagy koi naam likhte hain is tarh ka koi naam likhen wo naam kuchh easy ho jo ap assani sy yad rah sake aur logon ko bhi likhne men koi preshani naho,(URL) essa dain joo pahle kisi ne use na kya wa hoo agar website ka URL pahle kisi ne banaya hoga too link box me error ata rahega aor is URL ko hamesha yaad rakhain kyu ke yhi apke Blog ka Address hai jis se aap apne blog ko visit kar sako ge, blog ka title or address ap baad me change bhi kar sakte hain lekan URL ap kabhi bhi change nahen kar sakogy,


(5)Uske baad ap neche di gai Templates (Designs) main se kisi aik per click kar dain jo apko acha lag ra ho, Template ap baad me change or edit bhi kar sakte hain, or new template upload bhi kar sakte hain.




(6) Ab niche ki tarf muntakhib  "CREATE BLOG"  ka batan hoga us par click karen.

Bass ap ka blog ban gaya ab ap apne blog par ja kar apne blog ko tarteeb den aur apny blog k liye post likhen.

Blog ko desigan karne ka tareeka men agli post men ap ko pic k sath bataonga ta k ap ko desigan karne men koi preshani na ho,

To hamary sath rahen aur apni jankari men izafa karen.


Weather updates k liyr Cilick here



Comments

Popular posts from this blog

The world of internet,,kiya Aap janty hain

Secret talks and quiet ties — that’s what paved the way for last week’s deal between the United Arab Emirates and Israel to normalise relations. --- DAWN NEWS Updated 20 Aug 2020

PM orders release of women in jail on flimsy grounds Syed Irfan RazaUpdated 03 Sep 2020